Sunday, 28 June 2009

Zindgi

Ai Zindgi tune tune mujhe kya kya na baksha, shukriya
Jo manga wo bhi de diya,jo na manga wo bhi diya.

Aansu Kabhi tune diye, gham ishq mein sahte rahe
Ganjeena-e-aulaad bhi tune diya, le bhi liya

Maa'aney huye dhoondle tere; chalta raha tera tilism
aabaad bhi tune kiya,barbaad bhi tune kiya.

ashq-e-jigar tapke meri ankhon se jo tere liye,
Wo khud- ba-khud Auraaq par ashaar mein dhalte gaye .

Gehra samundar pi gaye, doobe magar sahil pe hum
Hairaan huye khud pe kabhi, tune kabhi hairan kiya

Ai zindigi tu hai qafas aur tu hi hai gulzar bhi
aaghosh mein teri hai khushi, gham bhi hai, aazaar bhi

Saturday, 20 June 2009

Amaal the Karma



Bejaan jism-o-kafan pe gart dala aur chale gaye,
sabhi apne-begaane maiyat se muh moda; aur phir chale gaye.

(gart=soil,)

Kabhi jo hum-nafas hue; jhod saath aur palat chale.
Bhula ke majhi ke lamhaat; dafan kar yaad, chidak kar haath' wo yunhi chale gaye.

(hum-nafas=too close, Majhi=past)

pukare se nahin mudtey, bane sab boot chale jate,
Mere jaanib jo bhi hote the sab ab bewafa nikle.

(jaanib=around)

Main hoon tanha, bahut khamosh,wehshat se kabr ki ab,
Koi diya koi roshan shama hi kar mere darr se chale jate,
Mere es akhiri mukam ko; tanik abaad kar jate.

Tanhaeyon main shamil aaj; meri maut bhi sunn hai.
Zameen-o-asmaan ke darmiyaan ye ab kaisi hararat hai?

Jo rishtey saalon paale the; wo akhir bewafa nikley.
Mere amaal meri akhirat main ba-wafa paaye.

(amaal-Karma/deeds)

Habz main kabr ki, wasl-e-amaal mujhko sambhale hain,
Bara-e-meherbaan aaj bhi apna har wada nibhate hain.

(Habz=suffocation, wasl-dear , Bara-e-meherbaan= merciful)

Jo hote aur bhi chand nayaab-e-amaal mere sang
Ba-Khuda kabr ko bhi zannat-al-firdoz kar jaate.

(nayaab=extraordinary or precious )

Sunday, 14 June 2009

sang-e-dil

Sang-e-dil-ushshaaq, dil pe paiband liye hue,
Chale gaye woh jo kabhi ham-sukhan hua kare.

(ham_suKHan = together, ushshaaq = lovers, paiband=patch)

Boot-e-sifaal baqi reh gaya, gum kis kadar jiye,
Noor-e-jamal kho gaya jo talab aanso kiya kare.

(Sifaal=clay, jamal=beauty)

Tijarat-e-eshq main hisaab na rakha na manga faiz,
Duniya ne banta sab magar; hum talab dard hi kiya kare.

(Tijarat=trade, faiz=profit,)

Manzar-e-Qyamat kya kahiye, hum tanha tanha phir se hain,
Hai akhiri hasrat wasl-e-sanam khud ki wehshat se jhuja kiye.

(Hasrat=wish, wasl=meeting, wehshat = solitude)

Saturday, 13 June 2009

यूँही

आतिश-ए- जज़्बात सुलगते रहे शब-ओ-रोज़ यूँही,

इंतज़ार –ए-मेहरबान का चरमरता रहा हर रोज़ यूँही!


पलकों ने बुहरा राहों को, अश्कों ने लगाए फव्वारे,

धड़कन ने छेड़े साज़ कई, सिसकी से बँधी साँसे यूँही!


तन्हा लम्हों से सजी महफ़िल, हर आहट पे दिल धड़के कभी,

इंतज़ार-ए-उलफत से हुई शामें सियाह,हर रोज़ जागे उम्मीद यूँही!


आने का मंज़र क्या होगा, कैसी होगी मुलाकात भला,

नज़रें पथराई, बोझिल सी, राहों मैं पड़ा दिल जाने यूँही!


आँखों मैं धड़कता दिल हर्सू मुलाकात के सपने बुनता रहा,

मैं हँसती- रोती, सोती-जगती, सपनो मैं अपने सुलगती यूँही



composed on 10th April 2000

Thursday, 4 June 2009

गूँजे थिरकन फिर जीवन की.

हैं पंख नये, विशाल गगन
है सोच नई और लफ्ज़ नये,
फेले आकाश के तले कहीं,
गूँजे थिरकन फिर जीवन की.

गहरी साँसे, गहरी है सोच,
गहरा चिंतन और खुला चमन,
आ पहुँची एसी नगरी मैं,
नामुमकिन जैसा कुछ भी नहीं.

मेरे पंख पकड़ते तेज़ी से,
हर हवा के रुख़ को चूमते से,
सब बादल जीतने काले थे,
उन्हे चीरते अपने पंखों से,
मैं चली अडिग सी चाल लिए,
एक नयी दिशा की ओर कहीं.

मेरे पंखों मैं वो दम खम है,
जो हवा के रुख़ को बदल उड़े,
हर मोड़ पे फूर से मूड जाए,
न बीहड़ जाने मेरे नयन.
न हार को जाने मेरा मन.

मैं आगे चली दुनियाँ पीछे,
ताबीर है सपनो से आगे,
कोमल मन का कोमल सपना,
मेरी दुनिया ही मेरा सपना,

मैं ही मालिक, मुलाज़िम भी,
अंजाम हूँ मैं, आगाज़ मैं ही,
मैं अंतर मैं निरन्तर हूँ
मैं भीतर भी, उजागर भी.

ये आधा भी है मुक्कमल भी
मेरा जीवन संग मेरी धूरी,
मेरी साँसे थोड़ी अधूरी सी,
दुनियाँ दिखती फिर भी पूरी,
ये एसी भी है वैसी भी.
ये है बिल्कुल मेरे जैसी

फैले आकाश के तले कहीं,
गूँजे थिरकन फिर जीवन की.