Thursday 3 October 2013

SAVVY VIEW: Kaath ki haandi

SAVVY VIEW: Kaath ki haandi

Saturday 14 July 2012

Ghadi

Ghadi( Waqt)

Zindgi bebas thee so ghati rahi

Umr bhi laAchar thee badhti rahi

Apno ki ginti bhi kum hoti rahi

Thainga dikhati Ghadi chalti rahi

Zindgi bebas thee so ghati rahi……

Moh ke vash jabran phansti rahi

Jalte logon se bhi ye jalti rahi

Karm phir bhi saare magar karti rahi

Ghati-badhti gintiyan ginti rahi

Zindgi bebas thee so ghati rahi

Thainga dikhati Ghadi chalti rahi

Janm-marn ke pher main uljhi rahi

Zindgi fursat tatolti rahi

Swarg-Nark ke bhaid se anjan si,

Samaycharka ki pher main pilti rahi

Zindgi bebas thee so ghati rahi

Main hi Main main jane kahan khoti rahi

Zindgi bebas thee so ghati rahi, Thainga dikhati Ghadi chalti rahi


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 


 

 

Sunday 28 March 2010

Ab aur kya mangun

Sur bhi hai hansil mujhe; hai aur sura hansil,
zindgi bhi hai hansil mujhe, jannat bhi hai hansil.

bakhshega mujhe kaun kya; main aur kya mangun,
Malik bhi mera yaar hai main kis se kya mangun.

mar kar kidhar jaon na meri ye samaj aye,
jannat mujhe hansil hai bolo ab kidhar jaon.

Na kuch ab khwab jeene ko,na koi chahtain baki,
Har shay hai mere pass, bolo kis se kya mangun.

Har gum se paar hun; main har khushi ke paar hun,
Es zindgi ki daud main; main sab ke paar hoon.

Es paar main hi main hun, ab kis paar main jaun,
Har aur meri aur hai,kis aur ab jaon

bechega mujhe kaun ab aage ki dastan,
main khud hi laindaar hoon aur khud hi daindaar.

Sab kuch khatam mujh par hai, aur shuruaat main hi hun.
Talab jo jo kiya paya; Khudaya aur kya mangun.

biwi

Safar suffer sa kara dun main, kya karun biwi hun,
Zindgi bhojh si kar dun; kya karun biwi hun.

Na chah ke bhi dard de baithun ye meri fitrat hai,
Bhala biwi hun kaise na league follow karun.

Tu kaise khush ho jo gar paara mera high pe ho,
Kaise manzoor karun, bolo bhala main biwi hun.

Struggle meri ho din-raat ghar ho ya bahar,
Tumhara pyaar sara bikhre PC te kabhi TV pe janab.

Meri kamar hue takhti ghar ke kamon se hue main lahu-luhan,
Tumhara black berry phir bhi raha mujh se meri jaan zyada mahan!

Kabhi jo nazron ko meri hamesha padha karte the,
Wohi har waqt liye akhbar phira karte hain,

Jo sune na dil ki aur ab to zaban ki bhi nahin,
Unpe kyunkar na main cheekhu bhala main biwi hun

Meri muskan jinhne kushgawar lagti thee;
wahi main hun wahi wo hain, jinhe main loud bahut lagti hun.

Bhala kaise na main ladlun janab bolo ab,
Mera hai naam hi badnaam lo ab main biwi hun;)

Funny

Funny!!

Zindgi hi bayan ki thee jo dastaan si lagti hai.
Apni hi beeti tumko ab meri zaban lagti hai!

Ek baat fakhat ki thee, jo bewajah si lagti hai
Apni kahani tumko meri kahi lagi hai.

Umr ke sang badalte rang; lagi yadon ki jhadi hai,
tarannum tera jo gaya; ghazal meri tujhe lagi hai.

Tu goom hai duniyan main kitna, na jane kis ki kami hai,
Tere main paas “mani paras”, talash phir bhi thani hai.

Mera aagaaz tu hi tha mera anjaam tu hi hai,
Meri har baat tujhko yaar aksar funny lagi hai!

Monday 28 December 2009

khabar

Bilakh ke bola mujhe neend kyon nahin aati,
Rituein rangeen hai phir bhi nazar nahin aati

Hazaron ranginiyan bhari hui fizaon main,
Mere dil ko magar kabhi nazar nahin aati.

Utha ke dekha jo akhbaar din-b-din maine,
Koi khushal khabar bhee nazar nahin aati.

Sani lahu main har khabar to koi kya kariye
Kahin se methi-khabar kabhi nahin aati

Hai kahin shor dhamakon ka; kahin aansuon ki guhar;
Siyasatdaron ke ghar talak koi cheekh kaun nahin jaati.

Sharare khushiyon ke chamke bahut mere dil main,
Mere zehan ki gali us tarf nahin jaati.

Bilakh ke phir bola mujhe neend kyon nahin aati,
Use phir maine kaha yaar “ab to neend ko bhee neend nahi aati”

;)

Sunday 15 November 2009

Dhoond loon

Dhoond loon

waqt ke darakht se kuch waqt tod lun,
es daud bhag main zara sa sabr dhoond lun!!!

Har pal palti rahain edhar, manzil ki sudh nahin,
Har moud pe aur ek moud, bas manzil ko dhoond loon.

Kondhti -rondhti lehron main dubey ya jiye koi,
Doobne se pehle zara sahil ko dhoond lun.

Sehar main bezaar si; sanjhon main;main khafa,
Apni banai list main, main khud ko dhoond hoon.

Sab ke liye, ghar ke liye main waqt banti
Khud ke liye kuch pal zara udhar maang loon.

Waqt ke darakht se kuch pal udhar loon
Sarpat sarakti umr se araam maang loon.