Sunday 28 March 2010

Ab aur kya mangun

Sur bhi hai hansil mujhe; hai aur sura hansil,
zindgi bhi hai hansil mujhe, jannat bhi hai hansil.

bakhshega mujhe kaun kya; main aur kya mangun,
Malik bhi mera yaar hai main kis se kya mangun.

mar kar kidhar jaon na meri ye samaj aye,
jannat mujhe hansil hai bolo ab kidhar jaon.

Na kuch ab khwab jeene ko,na koi chahtain baki,
Har shay hai mere pass, bolo kis se kya mangun.

Har gum se paar hun; main har khushi ke paar hun,
Es zindgi ki daud main; main sab ke paar hoon.

Es paar main hi main hun, ab kis paar main jaun,
Har aur meri aur hai,kis aur ab jaon

bechega mujhe kaun ab aage ki dastan,
main khud hi laindaar hoon aur khud hi daindaar.

Sab kuch khatam mujh par hai, aur shuruaat main hi hun.
Talab jo jo kiya paya; Khudaya aur kya mangun.

biwi

Safar suffer sa kara dun main, kya karun biwi hun,
Zindgi bhojh si kar dun; kya karun biwi hun.

Na chah ke bhi dard de baithun ye meri fitrat hai,
Bhala biwi hun kaise na league follow karun.

Tu kaise khush ho jo gar paara mera high pe ho,
Kaise manzoor karun, bolo bhala main biwi hun.

Struggle meri ho din-raat ghar ho ya bahar,
Tumhara pyaar sara bikhre PC te kabhi TV pe janab.

Meri kamar hue takhti ghar ke kamon se hue main lahu-luhan,
Tumhara black berry phir bhi raha mujh se meri jaan zyada mahan!

Kabhi jo nazron ko meri hamesha padha karte the,
Wohi har waqt liye akhbar phira karte hain,

Jo sune na dil ki aur ab to zaban ki bhi nahin,
Unpe kyunkar na main cheekhu bhala main biwi hun

Meri muskan jinhne kushgawar lagti thee;
wahi main hun wahi wo hain, jinhe main loud bahut lagti hun.

Bhala kaise na main ladlun janab bolo ab,
Mera hai naam hi badnaam lo ab main biwi hun;)

Funny

Funny!!

Zindgi hi bayan ki thee jo dastaan si lagti hai.
Apni hi beeti tumko ab meri zaban lagti hai!

Ek baat fakhat ki thee, jo bewajah si lagti hai
Apni kahani tumko meri kahi lagi hai.

Umr ke sang badalte rang; lagi yadon ki jhadi hai,
tarannum tera jo gaya; ghazal meri tujhe lagi hai.

Tu goom hai duniyan main kitna, na jane kis ki kami hai,
Tere main paas “mani paras”, talash phir bhi thani hai.

Mera aagaaz tu hi tha mera anjaam tu hi hai,
Meri har baat tujhko yaar aksar funny lagi hai!