Sunday 28 March 2010

biwi

Safar suffer sa kara dun main, kya karun biwi hun,
Zindgi bhojh si kar dun; kya karun biwi hun.

Na chah ke bhi dard de baithun ye meri fitrat hai,
Bhala biwi hun kaise na league follow karun.

Tu kaise khush ho jo gar paara mera high pe ho,
Kaise manzoor karun, bolo bhala main biwi hun.

Struggle meri ho din-raat ghar ho ya bahar,
Tumhara pyaar sara bikhre PC te kabhi TV pe janab.

Meri kamar hue takhti ghar ke kamon se hue main lahu-luhan,
Tumhara black berry phir bhi raha mujh se meri jaan zyada mahan!

Kabhi jo nazron ko meri hamesha padha karte the,
Wohi har waqt liye akhbar phira karte hain,

Jo sune na dil ki aur ab to zaban ki bhi nahin,
Unpe kyunkar na main cheekhu bhala main biwi hun

Meri muskan jinhne kushgawar lagti thee;
wahi main hun wahi wo hain, jinhe main loud bahut lagti hun.

Bhala kaise na main ladlun janab bolo ab,
Mera hai naam hi badnaam lo ab main biwi hun;)

No comments:

Post a Comment