Sunday 22 March 2009

Tab aur Aab

Kitna payara kitna suhana jeevan hai,
Main hoon, maa hai, paa hain, pyari behana hai.
Meri daadi sayani hai, meri chachi kadak si hai,
Aur sab ke beech main pyare payre bhai hain. …
Kitna payara kitna suhana ....

Har khushi samayi ghar ki en diwaaron main,
Laxmiji se thodi thodi unbun si hoti hai.
Par phir bhi hamara ghar roshan hai khushiyon se,
Aur roshan har ek pal hai, har ek lamha hai. …….

Kitna payara kitna suhana.....
Hain dukh to, baatne wale saath main saare hain,
Hain khushi to bantne wale saath main saare hain.
Wo dugni,tigni chogni hoti rahti hai,
Jab saath main saare milkar use manate hai. .. .
Kitna payara kitna suhana......

Meri maa hai en sab main wo anmol ratan,
Jispe waari waari meri kahani hai.
Mere jeevan ki wo hi ek sahi kahani hai,
Meri maa ke sadke saari meri zindgani hai.
Tu hai to jannat hai mere haaton main maa,
Tujhse hi ankhain meri etni noorani hain….

Kitna payara kitna suhana.......
Tu rehna hamesha sung sung mere saath saath,
Tu rehna mera haath, haathon main thaam thaam.
Tu hi meri saanson ka taana baana hai.
Tu rehna meri dhadkan ke hamesha paas paas.....
Kitna payara kitna suhana....

MAA ke baad ki duniyan...............

Tu meri chandni aur tu mera tara thee,
Tu mere jeevan se bandhi, jeevandhara thee.
Main tere aks se nikli, tujse paida hui,
Tere bina ekeli duniyan hogyi bilkul veeran..
kitna payara, kitna suhanha jeeven tha.....

Tu kyunkar mera saath raha main chod chali?
Tu kaise mujhko beech raha main bhool chali?
Tere bina meri duniyan ho gayi bilkul veeran.
Kitna payara sapna tha jo wo toot gaya.
kitna payara, kitna suhanha jeeven tha.....

Tera saath, haath sab, wahin kahin pe choot gaya.
Kitna banjar tu maa meri mujh ko chod gayi.
Kitna bebus tu maa meri mujh ko chod gayi.
Kitna payara tha khwab jise tu tod gayi.
Kitna sundar sansaar tu kaise chod gayi kitna payara,
kitna suhanha jeeven tha.....

Ek haath chuta, ek haath mila

ek haath chuta, ek haath mila, wo tha pana, ye apna sa.
phir dil main samandar kaun umda?
ankhon main lagi ye kaisi jhadi?
har pal hai ek betabi si, kuch ghabrayi anjanisi.
ek haat...........................

wo ghar angna, wo chaubare,
sangi saathi diwane se,
meri galiyon ke kunche nayare,
mere bachpan ki sakhiyan saree.
sab choot gaye us mod pe ub,
chah ke bhi na unko mil paon, etni unchee dewaarain ati,
chah ke bhi kabhi na paar sakoon.

wo jhanktey aksar khawahon main,
mere dil ko bahut satate hain.
main haat badhati unki taraf,
wo kheech ke haath palat jaate.
ek haath................

mere dil ki har khamosh sisak banjar si hawon main fehli
mere ashk huye sab jasb yahin en sukhi paysi reton pe.
soonsaan sadak, bebas manzar, hairaan, pereshan jaaon kahan?
jo haath choote jo reshtey goomain,
un rishton ko main phir paaon kahan
ek haath.........................................

Chand lamhe

Chand lamhon ki baraat hai saath main mere,
har un lamhon ki sougaat hai saath main mere,
Machal ke dil main base the jo kai khwab kabhi,
un khwabon ki tabeer hai saath main mere.

gaye guzar yoonhi din aur sabhi shub meri,
na to aane ka elm hua aur na hi jaane ki aahat hi hui,
Kuch es qadar guzar rahi hai ek arse se apni,
na to khud ki khabar hai na parwah hi hai zamaane ki.

rahat dilon main, sanson main khooshbu samayi hai,
sadgi khayalon main aur rooh main noor sa samaaya hai,
nazron main hazaaron sharare hai roshan kab se,
fiza main gulabi rang sa bhar aaya hai.

ji loon en lamhon ko bhar loon apni daastanon main,
ke jo kabhi koi palte mere umar ke panno ko aur padhe meri dillagi ke afsane,
eshk main muptila ho jaye woh bebas ho ke,
aur chand lamhon main simat chale zindgi sabki unhi.
aur chand lamhon main guzar kar ke chal chale sab unh hee.ADAAB;)

Mere Bachche

Nanhe farishtey mere bachche mere dil ko lubhaya karte hain.
Nanhi guddia meri savi, nanha sa farishta Aru hai Dono nanhe shaitan bade,
har waqat sharrarat kartey hain. Har waqat phiraktey rehtey hai,
pal pal main sataya kartey hain,
Nanhe farishtey mere bachche mere dil ko lubhaya karte hain.

Choti choti si baton pe wo hathapai kartey hai
Ek pal main hain jigri yaari unki, duje pal main bhadakti chingari.
Tukiyon ke banake auzaar kabhi, chappal se chadhai karte hain
Es pal, us pal, har dum, har pal, ek duje pe chadhai kartey hai.
Nanhe farishtey mere bachche mere dil ko lubhaya karte hain.

kabhi ye ruthi kabhi rutha wo, kabhi ye bigdi, kabhi bigda wo
rutha kartey ya manane lage dono main badi hai yaari bhee.
Nanhe farishtey mere bachche mere dil ko lubhaya karte hain.
mera ghar pal main sangraam bane, aur pal main phir gulistaan bane

nanhe farishtey mere bachche, nanhi savi pari meri.
mera Aru nanha farishta sa..... Nanhe farishtey mere bachche mere dil ko lubhaya karte hain.

Sundarta

Ankhon main hai baadal ki kajal, palkon main ajab si shar-mo-haya.
Ghun-ghor ghataon se zulfain, uff! Kaisi bala ki sundarta.
Tann bhee sundar mann bhe sundar uf kaisi bala ki sundarta.

Khushbu se bhari gehri sansain, sanson pe etr lagaya hua.
Hai os ki narmi hothon pe, uff kaisi bala ke sundarta.
Tann bhee sundar mann bhe sundar uf kaisi bala ki sundarta.

Chanda se surat, chandi sa badan, suraj sa hai paya ujiyara.
Sansaar samaya tum main sab, jannat ka nazaara paya hai.
Sabse sundar, sabse nirmal, uff kaisi bala ki sundarta.
Tann bhee sundar mann bhe sundar uf kaisi bala ki sundarta.

Kambakhat jawani ke kisse,

Kambakhat jawani ke kisse, madmast jawani ke kisse.
Pal-pal ko wo jee lene ka chalan, yaron main magan rehne ka chalan,
Kangaal wo hum, khushhal wo hum, behal si masti main sub gum.
Na pershani, na hi koi gum, benaam se hum, benaam se tum.
Kambakhat jawani ke kisse, dilshaan jawani ke kisse

Sadkon pe bhatak te yaar sabhi, tum hum main gum, hum tum main gum.
Haaton main yun dale haath sada, dilli main bhatakte saari jagah.
Wimpy se leke nirula tak, mere ghar se tere okhla tuk,
Mashhoor jawani ke kisse badnaam jawani ke kisse.

Charcha apna bhi khoob hua , khule aam hua, badnaam hua.
Kya keh ke gaya shayar wo kabhi badnaam hue aur naam hua.
Kambakhat jawani ke kisse, badnaam jawani ke kisse.

Sadde collage ke saare ashikq, sab apni misalain dete the
Yoon apna ishq parwaan chadha, yoon tumne humne naam kiya.
Ghar ki fatkaar, daant aur maar, koi kuch bhi rok saka na humain.
Wo kaise rokte bandhan jo arsh se sidha bheja gaya.
Kambakhat jawani ke kisse, bebaak jawani ke kisse

Hindu thee na main, tu musalmaa tha,
Pandit tha na koi qazi tha,mazhub tha na koi rusmain thee.
Hum the, tum the aur aur sang main rab,
Kambakhat jawani ke kisse, badnaam jawani ke kisse.

HOLI

Holi main rangke tum apni rangeen jawani jee lena.
Hum chale priye de laal rang, nayi duniyan main ye mere WATAN.
Hum chale gaye us paar sanam, aana bilkul mumkin hi nahin.

Tum rakhna apna dhyan WATAN.oh! mere Watan dilbar mere.
Humne khaili hai badi holi, rangon ki jahgah khai goli.
Dushman jitna hoshiyar bana, di humne unko maar sada.
Wo jeet hi kya qurbani bina, wo holi kya rang laal bina.
Hum sabka lahu bhi kam tha maa tujhpe sadke sara Hindustan.

Kuch aur kabhi ho hungamain kabhi, Maa Dharti tum mat ghabrana.
Hain bahut jawaan hamare se, teri raksha main mit jane ko.
Hain bahut jawan tadapte se tere dushman ko dhar lene ko.
Tu khush ho, aur khushiyan phele, dukh dard, tadap sab kho jaye.

Holi ke rang main milkar har ek banda muskata rahe.
Barsih ki boondon main milkar, Barish ki boodon main chip kar.
holi ke din holi pe hum, phir sab ko bhigo ke jayainge.
Bhigi palkon se hamari kabhi, teri bhigi palak sukhayainge.
Holi ke din, holi pe MAA! hum tujhse milne aayainge.