Sunday 22 March 2009

Kambakhat jawani ke kisse,

Kambakhat jawani ke kisse, madmast jawani ke kisse.
Pal-pal ko wo jee lene ka chalan, yaron main magan rehne ka chalan,
Kangaal wo hum, khushhal wo hum, behal si masti main sub gum.
Na pershani, na hi koi gum, benaam se hum, benaam se tum.
Kambakhat jawani ke kisse, dilshaan jawani ke kisse

Sadkon pe bhatak te yaar sabhi, tum hum main gum, hum tum main gum.
Haaton main yun dale haath sada, dilli main bhatakte saari jagah.
Wimpy se leke nirula tak, mere ghar se tere okhla tuk,
Mashhoor jawani ke kisse badnaam jawani ke kisse.

Charcha apna bhi khoob hua , khule aam hua, badnaam hua.
Kya keh ke gaya shayar wo kabhi badnaam hue aur naam hua.
Kambakhat jawani ke kisse, badnaam jawani ke kisse.

Sadde collage ke saare ashikq, sab apni misalain dete the
Yoon apna ishq parwaan chadha, yoon tumne humne naam kiya.
Ghar ki fatkaar, daant aur maar, koi kuch bhi rok saka na humain.
Wo kaise rokte bandhan jo arsh se sidha bheja gaya.
Kambakhat jawani ke kisse, bebaak jawani ke kisse

Hindu thee na main, tu musalmaa tha,
Pandit tha na koi qazi tha,mazhub tha na koi rusmain thee.
Hum the, tum the aur aur sang main rab,
Kambakhat jawani ke kisse, badnaam jawani ke kisse.

No comments:

Post a Comment