Sunday 22 March 2009

Tab aur Aab

Kitna payara kitna suhana jeevan hai,
Main hoon, maa hai, paa hain, pyari behana hai.
Meri daadi sayani hai, meri chachi kadak si hai,
Aur sab ke beech main pyare payre bhai hain. …
Kitna payara kitna suhana ....

Har khushi samayi ghar ki en diwaaron main,
Laxmiji se thodi thodi unbun si hoti hai.
Par phir bhi hamara ghar roshan hai khushiyon se,
Aur roshan har ek pal hai, har ek lamha hai. …….

Kitna payara kitna suhana.....
Hain dukh to, baatne wale saath main saare hain,
Hain khushi to bantne wale saath main saare hain.
Wo dugni,tigni chogni hoti rahti hai,
Jab saath main saare milkar use manate hai. .. .
Kitna payara kitna suhana......

Meri maa hai en sab main wo anmol ratan,
Jispe waari waari meri kahani hai.
Mere jeevan ki wo hi ek sahi kahani hai,
Meri maa ke sadke saari meri zindgani hai.
Tu hai to jannat hai mere haaton main maa,
Tujhse hi ankhain meri etni noorani hain….

Kitna payara kitna suhana.......
Tu rehna hamesha sung sung mere saath saath,
Tu rehna mera haath, haathon main thaam thaam.
Tu hi meri saanson ka taana baana hai.
Tu rehna meri dhadkan ke hamesha paas paas.....
Kitna payara kitna suhana....

MAA ke baad ki duniyan...............

Tu meri chandni aur tu mera tara thee,
Tu mere jeevan se bandhi, jeevandhara thee.
Main tere aks se nikli, tujse paida hui,
Tere bina ekeli duniyan hogyi bilkul veeran..
kitna payara, kitna suhanha jeeven tha.....

Tu kyunkar mera saath raha main chod chali?
Tu kaise mujhko beech raha main bhool chali?
Tere bina meri duniyan ho gayi bilkul veeran.
Kitna payara sapna tha jo wo toot gaya.
kitna payara, kitna suhanha jeeven tha.....

Tera saath, haath sab, wahin kahin pe choot gaya.
Kitna banjar tu maa meri mujh ko chod gayi.
Kitna bebus tu maa meri mujh ko chod gayi.
Kitna payara tha khwab jise tu tod gayi.
Kitna sundar sansaar tu kaise chod gayi kitna payara,
kitna suhanha jeeven tha.....

No comments:

Post a Comment