Wednesday 15 July 2009

chadar

wo jo dikhta tha ajnabi sa mujhe,

meri hi zindgi ka falsafa nikla!

Na nikla jo kabhi bhi kanhi mere dil se,

Bhari mehfil main jake aaj khud ko ro baitha.

Na jaane kaise, kis tarah wo aeise guzra,

meri palkon ke tale,adna sa ansoon ubhra,

Chipaye phirte the jis gum ko es zamane se,

Wahi gum aaj sab ke rubaroo aanikla.

Bahut ki koshishain, es gum ko dafan karne ki,

Jab bhi roka use kambakhat bepanah mila.

Zamane bhar se jisko chupaiye rakha tha!

Zakham dil ka wahi phir aaj bewafa nikla.

Chupai jismain abroo ab talak ghar ki,

meri izzat ko meri chadar ne hi nilaam rakkha.

No comments:

Post a Comment