Monday 11 May 2009

Antim Safar

Antim Safar

Thanda badan, pathraya chehra, boot si lage surat bhi ab
Barf ki silli pe dale mujhko rote mere sab,
Naam bhi gumnaam hai mujhko bulate laash hain,
Zindgi aur maut ka ye Akhiri kagaar hai.

Maut ki sardi badi hai, kafn kafi Wallah nahin hai!
Antim snaan bhi hai baki, lakdiyan sukhi padi hain.
Akhiri singar ka sindoor bhi baki pada hai,
Mere Antim safar ka ye abhi agaaz hai.

Ho jayegi lamhon main vidai, sabr se bandhi arthi padi hai.
Rote bilakhte apno ko kaise dilaon dhandas bhala?
Char din ki zindgi hai, peeche mere hi khade hain.
Kis baat ka rona bifarna, mukaam sabka ek hai hona.

Sang chale kuch punya mere, toli chali gunah ki.
Tauba zaban pe rundhi hai, ghabrahat thodi si badi hai.

Apno ko kho ke milun ja apno se phir main wahan.
Maa ka khoya sung main paon , dun main ye phir se sada.
Etni khwahish, ye tamanna hai meri rooh main basi.
Ghut chuki sanson main ghuti akhiri chahat phansi.

Jalti chita ki meethi garmi,bhasm sab jojayega.
Jeevan maran ke chakr se daman mera chut jayega.
Kya Qyamat hogi kabhi, meri Qyamat ho chuki.
Dekhna hai ghar kahan phir ab mera ho payega.

Karsako to muaf karna, meri sab nadaniyan.
Jane anjane kari jo kadvi-teekhi gustakhiyan.
Padh ke Fatiyah mujh pe baksh dena mere kasoor.
Antim safar ki akhiri chahaton main, ye bhi chahat hai zaroor.

No comments:

Post a Comment