Wednesday 6 May 2009

मेरा Mann

Mera Mann
doob ke phir ubhrey, ubhar ke phir doobey,
machalti phirti si lehron main hum bhi khoob phasey.

Khayalon se agey, khayalon ki peechey।
Zindgi se agey, zindgi ke peechey.
Na jaane kaun bhagey, mera mann kaun bhagey.

Na chahat hai, na gum hi hai,
akelapan harsu ujagar hai.
Udasi bhi jise na keh sakoon esi udasi hai.

Na dard-o-gum hai mere sang na koi kehkahe hi hain.
Meri dehleez pe yaroon abhi patjhad ke saye hain.

Toot ke daal se ja gir pada ek phool mandir main.
Woh gum darkhat ka sinchey ya rashk kismat ko bheje?

Pesho-paish se bojhil mera mann sabr tohe hai,
Darkhat ke haseen lamhon ko phir se tatoley hai.
Pada mandir ki seedhi par mera mann daal dhoondey hai.

No comments:

Post a Comment